| |
Fehmida Riyaz is a celebrated poetess who started the first women's
publishing house in Pakistan. She launched a magazine, Awaz, which criticized
the government. As a result, 14 cases including sedition were filed against her.
She was exiled from Pakistan by Zia ul-Haq for her liberal views regarding
Muslim women, and has since lived in India. She has published two collections of
prose, and a book of 'prose poems'.
|
aivaan-e-adaalat me.n
aivaan-e-adaalat me.n
patharaa_ii hu_ii aa.Nkhe.n
patharaaye hue chehare
patharaa_ii hu_ii saa.Nse.n
chama.De kii zubaano.n par
patharaa_ii hu_ii baate.n
[aivaan = house/palace]
fariyaad kaTaghare me.n
ro ro ke ta.Dapatii thii
qaanuun ke rakhavaale
kal le ke gaye jis ko
ab us ko yahaa.N laaye.n
vo naash to dikhalaaye.n
[fariyaad = plea; naash = dead body]
patharaaye hue chehare
ek dam ko_ii dil dha.Dakaa
sholaa-saa kahii.n bha.Dakaa
jab tak ki ko_ii samajhe
lo phuut bahe dhaare
aavaaze.n mile baaham
aur guu.Nj uThe naare
maasuum-sii jaano.n ke
betaab javaano.n ke
kyaa shor lahuu kaa thaa
kyaa guu.Nj thii naaro.n me.n
aivaan-e-adaalat me.n
patharaaye hue kamare
dam rok ke sunate the
jab surKh salaam aayaa
maqatuul kaa naam aayaa
ghuu.Nsaa-saa lagaa dil par
aa.Nkho.n se lahuu phuuTaa
jiite raho dil vaalo
patthar to ko_ii TuuTaa
[maqatuul = the murder victim]
|
|
|